SHIJRA'AH

Shijra’ah

Allahumma Swalle alaa Sayyidina wa Maulana Muhammedin wa alaa Aale
Sayyedina wa Maulana Muhammedin adada kulli shaiyin ma’alumil laka,
Rabbi arini bi jamaalika Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah Ya Rasoolallah
Swallahu alaihi wa Aalihi wa sallam.

Padh hamde Khuda aur Naat e Nabi aur keh Allah Allah madade
Peer o Murshid Saqalain Miya ke sadqe mey Maula madade

Yaa Shah Sharafat Shah Basheer wa Shah Muhammed Sher Miyan
Shah Ahmed Ali Shah Dargahi wa Shah Jamaalullah madade

Shah Qutbuddin wa Muhammed Zubair wa Shah Muhammed Naqshbandh
Maasoom Miya Shaykh Ahmed Shah Sirhindi Sikander Shah madade

Yaa Shah Kamaal o Shah Fuzail wa Shah Gadaa o Shamsuddin
Yaa Shah Gadaa Ar Rehman Shah Bu Fazl nishaane Rah madade

Shamsuddin Aqeel Shah Yaa Shah Bahauddin Miyan
Sayyed Abdul Wahab wa Sharfuddin Chiragh e Rah madade

Abdul Razzaq Qutbe Aalam Abdul Qadir Gaus e Aazam
Bu Swaleh wa Abdullah Yahya Shah aur Muhammed Shah madade

Dawood o Moosa Abdullah Moosa Abdullah Shah Hasan
Shah Hussain o Shah Hasan wa Maula Ali lillah madade

Aye Abde Khuda Aye Noor e ilaah, Aye Rehmate Aalam Swalle alaa
Ba Haqqe Laa ilaaha illalaahu Muhammedur Rasoolullahi madade.